Anees Ansari

mera har tir nishane pe na pahuncha aaKHir

Anees Ansari

1949
mirā har tiir nishāne pe na pahuñchā āḳhir
dar-safar meñ bhī Thikāne pe na pahuñchā āḳhir
totlī umr meñ jo bachcha zarā mushfiq thā
kuchh baḌā ho ke dahāne pe na pahuñchā āḳhir
jī ko samjhātā huuñ qismat meñ likhā thā so huā
kuchh sambhal kar bhī bahāne pe na pahuñchā āḳhir
ek ġham hotā to siine se lagā letā koī
ġham kā ambār uThāne pe na pahuñchā āḳhir
phal katarne ke liye Daar utar aatī thī
be-samar koī bulāne pe na pahuñchā āḳhir
shahr kuchh chhūT ga.e gard-e-safar lipTī rahī
koī rūdād sunāne pe na pahuñchā āḳhir
Top Urdushayar.com