Anees Ansari

nam tera bhi rahega na sitamgar baqi

Anees Ansari

1949
naam terā bhī rahegā na sitamgar baaqī
jab hai fir.aun na chañgez kā lashkar baaqī
apne chehroñ ko siyāhī meñ chhupāne vaalo
nok-e-neza pe hai sūraj sā koī sar baaqī
tere virse pe haiñ ġhāsib kī uqābī nazreñ
ġhaflatoñ se nahīñ rahte ye javāhar baaqī
ik sadaf sat.h-e-samandar pe bahā jaatā hai
aur sāhil pe nahīñ ek shanāvar baaqī
ek saf hoñ to baneñ siisa pilā.ī dīvār
hoñ adū ke liye rāheñ na kahīñ dar baaqī
qadr kam hotī hai taqsīm jo hotā hai adū
hāsil-e-jam.a meñ barakat hai barābar baaqī
jaal phir laayā hai sayyād phañsāne ke liye
mil ke uḌ jaa.eñ parinde na rahe Dar baaqī
zulm se sar ko na Takrā.eñ to phir sajda kareñ
haañ pata hai ki dar hogā na kahīñ sar baaqī
ham shahīdoñ ko kabhī murda nahīñ kahte 'anīs'
rizq jannat meñ mile shaan yahāñ par baaqī
Top Urdushayar.com