Anees Ansari

pathrili si sham mein tumne aise yaad kiya jaanam

Anees Ansari

1949
pathrīlī sī shaam meñ tum ne aise yaad kiyā jānam
saarī raat tumhārī ḳhātir maiñ ne zahr piyā jānam
sūraj kī mānind banā huuñ reza reza bikhrā huuñ
ab jīvan kā sar-chashma huuñ vaise ḳhuub jilā jānam
tum ne mujh meñ jo kuchh khoyā us kī qīmat tum jaano
maiñ ne tum se jo kuchh paayā hai vo besh-bahā jānam
tum ko bhī pahchān nahīñ hai shāyad merī uljhan kī
lekin ham milte rahte to achchhā hī rahtā jānam
ye sāhab jin se mil kar sab kā jī ḳhush ho jaatā hai
raat ga.e tak un ke kamre meñ jaltā hai kyā jānam
rakh paao to rok lo ham ko gahrā.ī ke baasī haiñ
bahte paanī ke qatroñ meñ hotā hai dariyā jānam
dard-e-judā.ī meñ likkhe haiñ sher tumhāre naam bahut
tum mere ghar meñ rahtīñ to kyā aisā hotā jānam
Top Urdushayar.com