badan se rishta-e-jāñ mo'tabar na thā merā
maiñ jis meñ rahtā thā shāyad vo ghar na thā merā
qarīb hī se vo guzrā magar ḳhabar na huī
dil is tarah to kabhī be-ḳhabar na thā merā
maiñ misl-e-sabza-e-begāna jis chaman meñ rahā
vahāñ ke gul na the mere samar na thā merā
na raushnī na harārat hī de sakā mujh ko
parā.ī aag meñ koī sharar na thā merā
zamīñ ko rū-kash-e-aflāk kar diyā jis ne
hunar thā kis kā agar vo hunar na thā merā
kuchh aur thā mirī tashkīl o irtiqā kā sabab
madār sirf havāoñ pe gar na thā merā
jo dhuup de gayā mujh ko vo merā sūraj thā
jo chhāñv de na sakā vo shajar na thā merā
nahīñ ki mujh se mire dil ne bevafā.ī kī
lahū se rabt hī kuchh mo'tabar na thā merā
pahuñch ke jo sar-e-manzil bichhaḌ gayā mujh se
vo ham-safar thā magar ham-nazar na thā merā
ik aane vaale kā maiñ muntazir to thā 'akbar'
har aane vaalā magar muntazir na thā merā