Akbar Hyderabadi

ye kaun meri tishnagi baDha baDha ke chal diya

Akbar Hyderabadi

1925
ye kaun merī tishnagī baḌhā baḌhā ke chal diyā
ki lau charāġh-e-dard kī baḌhā baḌhā ke chal diyā
ye merā dil hī jāntā hai kitnā sañg-dil hai vo
ki mujh se apnī dostī baḌhā baḌhā ke chal diyā
bichhaḌ ke us se zindagī vabāl-e-jān ho ga.ī
vo dil meñ shauq-e-ḳhud-kushī baḌhā baḌhā ke chal diyā
karūñ to ab maiñ kis se apnī vus.at-e-nazar kī baat
vo mujh meñ hiss-e-āgahī baḌhā baḌhā ke chal diyā
na diid kī umiid ab na lutf-e-naġhma-e-visāl
ki lai vo sāz-e-hijr kī baḌhā baḌhā ke chal diyā
vo aayā 'akbar' is adā se aaj mere sāmne
ki ik jhalak sī ḳhvāb kī dikhā dikhā ke chal diyā
Top Urdushayar.com