mushta.il ho gayā vo ġhuncha-dahan dānista
aa ga.ī lafzoñ meñ kyuuñ us ke chubhan dānista
jab bhī laayā hai vo māthe pe shikan dānista
yuuñ lagā jaise huā chāñd-gahan dānista
Thes lagtī hai anā ko to baras paḌte haiñ
lab-kushā hote nahīñ ahl-e-suḳhan dānista
sar-bulandī hameñ manzūr thī haq kī ḳhātir
is liye chuum liye dār-o-rasan dānista
jitne bhī ahl-e-siyāsat haiñ vatan-dushman haiñ
sab ne phūñkā hai mohabbat kā chaman dānista
ye bhī sach iiñT kā patthar se diyā ham ne javāb
ye bhī sach bair hai un se na jalan dānista
is se behtar kahāñ iz.hār-e-ġham-e-dil karte
yuuñ tarāshā kiye lafzoñ ke badan dānista
us se dushman hī nahīñ maut bhī katrā.egī
jis ne bhī bāñdh liyā sar se kafan dānista
shāyad is daur kī tahzīb ko ġhairat aa.e
ham ne chheḌī hai hikāyāt-e-kuhan dānista
jis ko vo chāhe atā kar de ye vasf-e-taqdīs
kaun paatā hai ġhazal kahne kā fan dānista
sahme sahme se haiñ peḌoñ pe parinde ai shams'
us ne gholī hai fazāoñ meñ ghuTan dānista