Shams Ramzi

ye arz-o-sama qulzum-o-sahra mutharrik

Shams Ramzi

Badayun, Uttar pradesh, India

1960
ye arz-o-samā qulzum-o-sahrā mut.harrik
ik tū hī nahīñ shams hai duniyā mut.harrik
tā-hadd-e-nazar ik vahī chehrā mut.harrik
yā husn-e-mujassam kā hai jalvā mut.harrik
insānoñ meñ ab bū-e-vafā hī nahīñ miltī
har shaḳhs nazar aatā hai tanhā mut.harrik
ye soch rahā huuñ use kis chiiz kā ġham hai
rahtī hai mire dil meñ tamannā mut.harrik
yuuñ dhuup se ghabrā ke maiñ saa.e meñ na baiThā
sākin hai agar peḌ to saayā mut.harrik
ḳhushbū-e-gul-e-tar pe hī mauqūf nahīñ hai
har shāḳh-e-gul-e-tar kā hai pattā mut.harrik
raushan kiye ik ne to bujhā.e diye ik ne
harakat meñ hai zulmat to ujālā mut.harrik
jis kī bhī jo manzil hai vahīñ tak ye gayā hai
raahī kī badaulat huā rastā mut.harrik
vo chāñd ho sūraj ho gul-e-tar ho ki shabnam
ham ne to har ik chiiz ko dekhā mut.harrik
dariyā kī hadoñ meñ jo utar jāoge ai shams'
ā.eñge nazar sāhil-o-dariyā mut.harrik
Top Urdushayar.com