Shams Ramzi

zamin tang hai yarab ki aasman hai tang

Shams Ramzi

Badayun, Uttar pradesh, India

1960
zamīn tañg hai yārab ki āsmān hai tañg
ye kyā ki bandoñ pe paiham terā jahān hai tañg
mire savāl kā koī javāb kyā detā
ki tere shahr meñ har shaḳhs kī zabān hai tañg
karūñ to kaise karūñ harf-e-mudda.ā āġhāz
ġhazal ke vāste lafzoñ kā āsmān hai tañg
fazā meñ uḌte parinde kī ḳhair ho yārab
ki us kā tiir baḌā hai magar kamān hai tañg
nizām nau meñ na.e tajrabāt kaise kareñ
dil-o-dimāġh kī har shaḳhs ke uḌaan hai tañg
mire ḳhudā use āzād kar ye achchhā hai
hisār-e-jism meñ har vaqt merī jaan hai tañg
agarche ḳhud vo bahut tañg-zehan-o-dil hai magar
amīr-e-shahr ko duniyā kā har makān hai tañg
parinde chīḳh rahe haiñ ye kis kī hijrat par
ye kis ke vāste yārab terā jahān hai tañg
sukūñ-navāz haiñ TuuTī haveliyāñ lekin
ye aur baat ki shīshe kā bhī makān hai tañg
kise sunā.ūñ maiñ apnī shikast kā qissa
vo lafz aur vo lahja vo dāstān hai tañg
Top Urdushayar.com