Shams Ramzi

gham diye hain to masarrat ke guhar bhi dena

Shams Ramzi

Badayun, Uttar pradesh, India

1960
ġham diye haiñ to masarrat ke guhar bhī denā
ai ḳhudā tū mujhe jiine kā hunar bhī denā
hākim-e-vaqt ye hijrat mujhe manzūr magar
dam-e-ruḳhsat mujhe sāmān-e-safar bhī denā
ai shab-o-roz ke mālik mujhe is duniyā meñ
lailatul-qadr kī mānind sahar bhī denā
sun zarā ġhaur se sun ai shajar-e-sāya-fagan
jab tire saa.e meñ pahuñchūñ to samar bhī denā
lafz nikleñ jo zabāñ se to diloñ tak pahuñcheñ
merī taqrīr meñ kuchh aisā asar bhī denā
tere altāf-o-karam kī hai bahar-sū shohrat
māl-o-zar degā hī to la.al-o-gohar bhī denā
tū jo shamshīr-ba-kaf ho to maiñ sar pesh karūñ
jo haiñ dil vaale unheñ aatā hai sar bhī denā
baḳhshne vaale zamāne ko jamāl-e-har-rañg
jo tujhe dekh sake aisī nazar bhī denā
le chalā maiñ tirī jannat se bayābāñ kī taraf
sar chhupāne ko vahāñ tū mujhe ghar bhī denā
harf aa jaa.e na tujh par kahīñ kam-zarfī kā
dāman-e-'shams' ko tū dīda-e-tar bhī denā
Top Urdushayar.com