Shams Ramzi

lafz-o-mani ke samundar ka safar hain kuchh log

Shams Ramzi

Badayun, Uttar pradesh, India

1960
lafz-o-ma.anī ke samundar kā safar haiñ kuchh log
yaar is daur meñ bhī ahl-e-nazar haiñ kuchh log
ye haqīqat hai ki bachchoñ kī zarūrat ke liye
sūrat-e-silsila-e-gard-e-safar haiñ kuchh log
ham ne to un se kabhī haq ke sivā kuchh na sunā
jurm kyā un kā hai kyuuñ shahr-badar haiñ kuchh log
nuur chehre pe to bātoñ meñ mahak hotī hai
chāñd kā aks haiñ ḳhushbū kā nagar haiñ kuchh log
kitne pāgal haiñ ki raj.at ko taraqqī samjhe
āsmānoñ kī taraf mahv-e-safar haiñ kuchh log
Top Urdushayar.com