Akbar Hyderabadi

shaKH-e-buland-e-baam se ek din utar ke dekh

Akbar Hyderabadi

1925
shāḳh-e-buland-e-bām se ik din utar ke dekh
ambār-e-barg-o-bār-e-ḳhizāñ meñ bikhar ke dekh
miTTī ke sādgī meñ alag sā jamāl hai
rañgoñ kī nik.hatoñ kī qabā taar karke dekh
imkāñ kī vus.atoñ ke ufuq zaar khul ga.e
par tolne lage haiñ parinde sahar ke dekh
zulmat kī kashtiyoñ ko bhañvar hai ye raushnī
dar khul rahe haiñ dānish-o-ilm-o-ḳhabar ke dekh
kyā jaane ġham kī aañch kā partav kahāñ paḌe
añgḌā.ī le rahe haiñ hayūle sharar ke dekh
sañgīn hādsoñ kī hikāyat tavīl hai
koh-e-girāñ kī baat na kar zaḳhm sar ke dekh
apnī basāratoñ ko jasārat kī aañch de
manzar isī nazar se jahān-e-digar ke dekh
pindār-e-sar-nigūñ kā junūñ mo'atabar nahīñ
bujhte hue charāġh kī lau tez karke dekh
'akbar' nidā-e-shab ko navā-e-sahar samajh
lau de rahe haiñ hausle ahl-e-nazar ke dekh
Top Urdushayar.com