tirī talab mujhe hairān kyuuñ nahīñ rakhtī
sharīk-e-mauja-e-imkān kyuuñ nahīñ rakhtī
maiñ zaḳhm zaḳhm nahīñ huuñ magar masīhā.ī
mire badan meñ mirī jaan kyuuñ nahīñ rakhtī
maiñ jhāñkne ke liye to na kahtā duniyā se
ye hoshiyār garebān kyuuñ nahīñ rakhtī
mujādila hī zarūrī hai to chaman kā naam
bahār jañg kā maidān kyuuñ nahīñ rakhtī
ajab tarah kī mashaqqat meñ Daal detī hai
zamīn-e-ḳhalq mirā dhyān kyuuñ nahīñ rakhtī
azīz-tar hai unheñ ḳhvāb to shikast-e-ḳhvāb
mirī misāl pareshān kyuuñ nahīñ rakhtī