ye sahrā bas abhī gulzār ho jaane hī vaalā hai
koī tūfāñ nahīñ to qāfila aane hī vaalā hai
zarā Thahro use aane do us kī baat bhī sun leñ
hameñ jo ilm hai go dil ko dahlāne hī vaalā hai
samundar meñ jazīre haiñ jazīroñ par hai ābādī
abhī ik shor bas kānoñ se Takrāne hī vaalā hai
havā-e-fasl-e-gul meñ shorish-e-bād-e-ḳhizāñ bhī hai
kalī khiltī hai ya.anī phuul murjhāne hī vaalā hai
kahāñ jāoge kis ḳhāk-e-tamannā kī havas meñ ho
tumhārī raah kā har moḌ vīrāne hī vaalā hai
vahī ġharqāb hoñge ham vahī kashtī na Dūbegī
agarche nāḳhudā is sach ko jhuTlāne hī vaalā hai