kabhī kabhī chup ho jaane kī ḳhvāhish hotī hai
aaise meñ jab tīr-e-sitam kī bārish hotī hai
haal hamārā sunñe vaale jaane kyā socheñ
yuuñ bhī kaisī kaisī zehnī kāvish hotī hai
dīvāroñ par kyā likkhā hai paḌh ke batlāo
kyā aisī bātoñ par yaaro nālish hotī hai
ham is kī ta.amīl meñ dīvāne ban jaate haiñ
dil aaise nādāñ kī jab farmā.ish hotī hai
duniyā se ik roz hamārī baat huī chhup kar
so be-chārī kī ab tak fahmā.ish hotī hai
ek hī chhat ke nīche chāroñ vahshī kyā baiThe
dānāoñ ne samjhā koī sāzish hotī hai
yuuñ bhī ham ko shā.er-vā.er kahlānā kab thā
sheroñ meñ bhī apne jhūTī dānish hotī hai