ghuTan azāb-e-badan kī na merī jaan meñ lā
badal ke ghar mirā mujh ko mire makān meñ lā
mirī ikaa.ī ko iz.hār kā vasīla de
mirī nazar ko mire dil ko imtihān meñ lā
saḳhī hai vo to saḳhāvat kī laaj rakh legā
savāl arz-e-talab kā na darmiyān meñ lā
dil-e-vajūd ko jo chiir kar guzar jaa.e
ik aisā tiir tū apnī kaḌī kamān meñ lā
hai vo to hadd-e-giraft-e-ḳhayāl se bhī pare
ye soch kar hī ḳhayāl us kā apne dhyān meñ lā
badan tamām usī kī sadā se guuñj uThe
talātum aisā koī aaj merī jaan meñ lā
charāġh-e-rāhguzar laakh tābnāk sahī
jalā ke apnā diyā raushnī makān meñ lā
ba-rañg-e-ḳhvāb sahī saarī kā.enāt 'akbar'
vajūd-e-kul ko na andesha-e-gumān meñ lā