tujh ko paane ke liye ḳhud se guzar tak jā.ūñ
aisī jiine kī tamannā hai ki mar tak jā.ūñ
ab na shīshoñ pe girūñ aur na shajar tak jā.ūñ
maiñ huuñ patthar to kisī dast-e-hunar tak jā.ūñ
ik dhuñdlakā huuñ zarā der meñ chhaT jā.ūñgā
maiñ koī raat nahīñ huuñ jo sahar tak jā.ūñ
jis ke qadmoñ ke qasīdoñ se hī fursat na mile
kaise us shaḳhs kī ta.azīm-e-nazar tak jā.ūñ
ghar ne sahrā meñ mujhe chhoḌ diyā thā lā kar
ab ho sahrā kī ijāzat to maiñ ghar tak jā.ūñ
apne mazlūm laboñ par jo vo rakh le mujh ko
aah ban kar maiñ duāoñ ke asar tak jā.ūñ
ai mirī raah koī raah dikhā de mujh ko
dhuup oḌhūñ ki tah-e-shāḳh-e-shajar tak jā.ūñ