Saleem Siddiqui

shab ke pur-haul manazir se bacha le mujhko

Saleem Siddiqui

1976
shab ke pur-haul manāzir se bachā le mujh ko
maiñ tirī niiñd huuñ āñkhoñ meñ chhupā le mujh ko
maiñ tirī rāh-e-mashī.at kā huuñ zarra lekin
DhūñDhne vaalā sitāroñ meñ khañgāle mujh ko
ḳhauf āñkhoñ meñ mirī dekh ke chiñgārī kā
kar diyā raat ne sūraj ke havāle mujh ko
maiñ musavvir huuñ bure vaqt kī tasvīroñ kā
raas aate haiñ ye dīvār ke jaale mujh ko
umr bhar jis ke liye peT se bāñdhe patthar
ab vo gin gin ke khilātā hai nivāle mujh ko
beḌiyāñ Daal ke parchhā.īñ kī pairoñ meñ mire
qaid rakhte haiñ añdheroñ meñ ujāle mujh ko
tere hāthoñ kā tarāshā huā patthar huuñ 'salīm'
ā.īna ho ga.e sab dekhne vaale mujh ko
Top Urdushayar.com