yaqīñ kī dhuup meñ saaya bhī kuchh gumān kā hai
yahī to vaqt musāfir ke imtihān kā hai
palaT rahā hai zamāna sadā-e-haq kī taraf
jahān-e-fikr meñ charchā mirī azaan kā hai
usī ke ḳhauf se larzāñ hai dushmanoñ kā hujūm
vo ek tiir jo TuuTī huī kamān kā hai
yahī kahīñ pe vafāoñ kī qabr-gāh bhī thī
yahī kahīñ se to rasta tire makān kā hai
ik ek harf kī rakhnī hai aabrū mujh ko
savāl dil kā nahīñ hai mirī zabān kā hai
jo ek chhoTā sā dil hai 'salīm' siine meñ
vo āftāb mohabbat ke āsmān kā hai