huuñ pārsā tire pahlū meñ shab guzār ke bhī
maiñ be-libās nahīñ pairahan utaar ke bhī
har ek sar ko bulandī atā nahīñ karte
usuul hote haiñ kuchh to salīb-o-dār ke bhī
hamāre aks bhī dhundhle hue to ham samjhe
ki ā.īnoñ se haiñ rishte yahāñ ġhubār ke bhī
na ābloñ se hai raġhbat na paañv se ranjish
ajab sulūk haiñ maidān-e-ḳhārzār ke bhī
vo be-yaqīn bharosa na kar sakā varna
the mere saath ka.ī log e'tibār ke bhī
faqat tumhīñ ko nahīñ apnī sādgī pe ġhurūr
dimāġh arsh pe rahte haiñ ḳhāksār ke bhī
maiñ jis ke paañv kī aahaT kā muntazir thā 'salīm'
vo jā chukā mujhe dahlīz se pukār ke bhī