yuuñ tirī chaap se tahrīk-e-safar TūTtī hai
jaise palkoñ ke jhapakne se nazar TūTtī hai
bojh ashkoñ kā uThā letī haiñ palkeñ merī
phuul ke vazn se kab shāḳh-e-shajar TūTtī hai
zindagī jism ke zindāñ meñ ye sāñsoñ kī salīb
ham se toḌī nahīñ jaatī hai magar TūTtī hai
koī jugnū koī taara nahīñ lagtā raushan
zulmat-e-shab meñ jab ummīd-e-sahar TūTtī hai
kitne andeshoñ kī kircheñ sī bikhar jaatī haiñ
ek chauḌī bhī kalā.ī se agar TūTtī hai
ab sivā neze pe sūraj nahīñ aatā hai 'salīm'
ab qayāmat bhī ba-andāz-e-digar TūTtī hai