Saleem Siddiqui

kaun kahta hai ki yunhi raazdar usne kiya

Saleem Siddiqui

1976
kaun kahtā hai ki yūñhī rāzdār us ne kiyā
ḳhuub parkhā hai mujhe tab e'tibār us ne kiyā
be-hijāb-e-nafs thā vo yā koī ġhāfil badan
pairahan jo bhī diyā hai taar taar us ne kiyā
aaj phir apnī samā.at sauñp dī us ne hameñ
aaj phir lahja hamārā iḳhtiyār us ne kiyā
sirf ik aks-e-vafā par hī nahīñ Daalī hai ḳhaak
ā.īna-sāzoñ ko bhī gard-o-ġhubār us ne kiyā
apne bām-o-dar pe raushan der tak rakkhā nahīñ
har charāġh-e-tamkanat ko be-dayār us ne kiyā
maiñ fareb-e-shām kī bāhoñ meñ gum thā aur mirā
sub.h kī pahlī kiran tak intizār us ne kiyā
zindagī se jañg meñ ye ma.arka hotā rahā
ik rajaz maiñ ne paḌhā aur ek vaar us ne kiyā
vo akelā thā rah-e-nisbat meñ lekin jaane kyuuñ
merī parchhā.īñ ko bhī ḳhud meñ shumār us ne kiyā
Top Urdushayar.com