haiñ sau tarah ke rañg har ik naqsh-e-pā meñ dekh
insāñ kā husn ā.ina-e-irtiqā meñ dekh
yuuñ hī nahīñ ye bartarī-e-nasl-e-ādmī
guzre haiñ kaise hādse sa.ī-e-baqā meñ dekh
sarf-e-nazar haiñ vaqt kī pinhā.iyāñ tamām
duniyā-e-nā-rasā mirī fikr-e-rasā meñ dekh
ye raushnī to lau hai isī ik charāġh kī
taz.īn-e-dahr zehn kī nash-o-numā meñ dekh
is kārobār jān-o-jasad par nigāh Daal
haiñ kaisī kaisī ne.amateñ āb-o-havā meñ dekh
yaañ kitne log mar ke amar ho ga.e na pūchh
kyā sūrateñ baqā kī haiñ rāh-e-fanā meñ dekh
sun to ḳhirām-e-vaqt meñ haiñ kaisī āhaTeñ
kyā rañg pur-fishāñ haiñ ġhubār-e-havā meñ dekh
'akbar' hai ek mahshar-e-ilm-o-ḳhabar dimāġh
shor-e-hayāt ḳhāna-e-bīm-o-rajā meñ dekh