ik darīche kī tamannā mujhe dūbhar huī hai
vo ghuTan hī mirī sāñsoñ pe muqarrar huī hai
aaj rakkhe haiñ qadam us ne mirī chaukhaT par
aaj dahlīz mirī chhat ke barābar huī hai
niiñd ne niiñd se chauñkā ke uThāyā mujh ko
ḳhvāb meñ ḳhvāb kī ta.abīr ujāgar huī hai
us ne rātoñ ke taqaddus ko kiyā hai majrūh
ek muTThī bhī jise dhuup mayassar huī hai
jab se sīkhā hai hunar shīshagarī kā maiñ ne
bas usī din se ye duniyā hai ki patthar huī hai
ab zamīnoñ ko bichhā.e ki falak ko oḌhe
muflisī to bharī barsāt meñ be-ghar huī hai
ek muddat se jo sahrā-e-masarrat thī 'salīm'
ġham ke chhūte hī vahī chashm samundar huī hai