ġham-e-hayāt miTānā hai ro ke dekhte haiñ
lahū kā daaġh lahū se hī dho ke dekhte haiñ
atash kī niiñd bahut baḌh ga.ī hai āñkhoñ meñ
chalo furāt kī bāhoñ meñ so ke dekhte haiñ
hameñ hamāre alāva bhī jāntā hai koī
virāsatoñ kī ye pahchān kho ke dekhte haiñ
tamām umr bahut ro.e zindagī ke liye
ab apnī laash pe kuchh der ro ke dekhte haiñ
ajiib log haiñ lāshoñ meñ zindagī ke nishāñ
har ek jism meñ neza chubho ke dekhte haiñ
is aarzū meñ badan ho gayā hai zaḳhm-ālūd
ki ek raat gulāboñ pe so ke dekhte haiñ
ham aadmī kī tarah jī rahe haiñ sadiyoñ se
chalo 'salīm' ab insān ho ke dekhte haiñ