badan qubūl hai uryāniyat kā maarā huā
magar libās na pahneñge ham utārā huā
vo jis ke surḳh ujāle meñ ham munavvar the
vo din bhī shab ke ta.āqub meñ thā guzārā huā
panāh-e-gāh-e-shajar fat.h kar ke soyā hai
masāfatoñ kī thakan se ye jism haarā huā
mujhe zamīn kī partoñ meñ rakh diyā kis ne
maiñ ek naqsh thā aflāk pe ubhārā huā
ḳharīdne ke liye us ko bik gayā ḳhud hī
maiñ vo huuñ jis ko munāfe meñ bhī ḳhasārā huā
samā gayā mire pairoñ ke ābloñ meñ 'salīm'
chalo ki aaj se ye ḳhaar bhī hamārā huā