Saleem Siddiqui

KHwahish-e-taKHt na ab dirham-o-dinar ki gunj

Saleem Siddiqui

1976
ḳhvāhish-e-taḳht na ab dirham-o-dīnār kī guuñj
vādī-e-chashm meñ hai hasrat-e-dīdār kī guuñj
zaḳhm-dar-zaḳhm suḳhan aur bhī hotā hai vasī.a
ashk-dar-ashk ubhartī hai qalamkār kī guuñj
kaash merī bhī samā.at ko Thikāna de de
dasht-e-mahshar meñ tire sāya-e-dīvār kī guuñj
āhaTeñ bhī nahīñ karte mire a.amāl kabhī
ek āvāz nihāñ hai mire kirdār kī guuñj
jab bahut ġhaur kiyā hai to sunā.ī dī hai
muflis-e-shahr kī chup meñ kisī zardār kī guuñj
jis ne sūkhī huī miTī se banā.e kuuze
shahr-e-zamzam se uThī hai usī fankār kī guuñj
ek muddat se bhaTaktī huī phirtī hai 'salīm'
kūcha-e-dil meñ mohabbat ke talab-gār kī guuñj
Top Urdushayar.com