apne jiine ke ham asbāb dikhāte haiñ tumheñ
dosto aao ki kuchh ḳhvāb dikhāte haiñ tumheñ
tum ne ġharqāb safīne to bahut dekhe haiñ
sar paTakte hue sailāb dikhāte haiñ tumheñ
husn kā shor jo barpā hai zarā thamne do
ishq kā lahja-e-nāyāb dikhāte haiñ tumheñ
mere phaile hue dāman ke kabhī saath chalo
muñh chhupāte hue ahbāb dikhāte haiñ tumheñ
chhat pe aa jaao har ik kaam se fāriġh ho kar
chāñdnī raat ke mehrāb dikhāte haiñ tumheñ
kaise āñkhoñ meñ utarte haiñ lahū ke qatre
kaise bantā hai ye tezāb dikhāte haiñ tumheñ
tum zarā pyaas kī me.arāj pe pahuñcho to sahī
regzāroñ meñ bhī girdāb dikhāte haiñ tumheñ
ek maqsad ke liye amn kī tahrīroñ meñ
ḳhuun se likkhe hue baab dikhāte haiñ tumheñ