jab sub.h kī dahlīz pe bāzār lagegā
har manzar-e-shab ḳhvāb kī dīvār lagegā
pal bhar meñ bikhar jā.eñge yādoñ ke zaḳhīre
jab zehn pe ik sañg-e-girāñ-bār lagegā
gūñdhe haiñ na.ī shab ne sitāroñ ke na.e haar
kab ghar mirā ā.īna-e-anvār lagegā
gar sail-e-ḳhurāfāt meñ bah jaa.eñ ye āñkheñ
har harf-e-yaqīñ kalma-e-inkār lagegā
hālāt na badle to tamannā kī zamīñ par
TuuTī huī ummīdoñ kā ambār lagegā
khilte rahe gar phuul lahū meñ yūñhī 'akbar'
har fasl meñ dil apnā saman-zār lagegā