aañkh meñ aañsū kā aur dil meñ lahū kā kaal hai
hai tamannā kā vahī jo zindagī kā haal hai
yuuñ dhuāñ dene lagā hai jism aur jaañ kā alaao
jaise rag rag meñ ravāñ ik ātish-e-sayyāl hai
phailte jaate haiñ dām-e-nārasī ke dā.ere
tere mere darmiyāñ kin hādsoñ kā jaal hai
ghir ga.ī hai do zamānoñ kī kashākash meñ hayāt
ik taraf zanjīr-e-māzī ek jānib haal hai
hijr kī rāhoñ se 'akbar' manzil-e-dīdār tak
yuuñ hai jaise darmiyāñ ik raushnī kā saal hai