miltī rahī qalam ko sa.ādat kī raushnī
dar aa.ī harf harf meñ mid.hat kī raushnī
aane se aap ke huiiñ kāfūr zulmateñ
aalam meñ phailī aap kī rahmat kī raushnī
ġhār-e-hirā meñ le ke jo aa.e the jibra.īl
sachchā kalām nūr-e-hidāyat kī raushnī
tā-hāl ho rahī hai vo barsāt nuur kī
lamhe ne paa.ī thī jo ziyārat kī raushnī
īsār-o-darguzar kā sabaq aap ne diyā
phailā.ī aap ne hai uḳhuvvat kī raushnī
aurat ko baḳhshī aap ne aa kar hayāt-e-nau
us ko milī hai izzat-o-azmat kī raushnī
sub.h-o-masā hai 'nāz' kī bas aarzū yahī
merī navāh-e-jāñ meñ ho sīrat kī raushnī