Aftab Iqbal Shamim

ye peD ye pahaD zamin ki umang hain

Aftab Iqbal Shamim

Jhelum, Punjab, Pakistan

1933
ye peḌ ye pahāḌ zamīñ kī umañg haiñ
saare nasheb jin kī uThānoñ pe dañg haiñ
bāhar ho habs phir bhī darīcha khulā rakhūñ
ye ḳhud tasalliyāñ mire jiine kā Dhañg haiñ
DhūñDūñ ki intihā kī mujhe intihā mile
ye shash-jahāt merī tamannā pe tañg haiñ
ik umr ik makān kī ta.amīr meñ lage
ayyām se ziyāda garāñ ḳhisht-o-sañg haiñ
chahke hazār saut meñ ye tā.ir-e-nazar
kirnoñ ke paas yuuñ to yahī saat rañg haiñ
vaise hameñ nadāmat-e-be-chehragī nahīñ
har-chand tere shahr meñ be-nām-o-nañg haiñ
Top Urdushayar.com