Aftab Iqbal Shamim

main jab bhi chhune lagun tum zara pare ho jao

Aftab Iqbal Shamim

Jhelum, Punjab, Pakistan

1933
maiñ jab bhī chhūne lagūñ tum zarā pare ho jaao
ye kyā ki lams meñ aate hī dūsre ho jaao
ye kār-e-ishq magar ham se kaise sarzad ho
alaav tez hai sāhab zarā pare ho jaao
tumhārī umr bhī us aab ke hisāb meñ hai
nahīñ ki us ke barasne se tum hare ho jaao
ye gosha-gīr tabī.at bhī ek mahbas hai
havā ke lams meñ aao hare-bhare ho jaao
kabhī to matl.a-e-dil se ho itnī bārish-e-ashk
ki tum bhī khul ke baraste hue khare ho jaao
Top Urdushayar.com