apnī kaifiyyateñ har aan badaltī huī shaam
munjamid hotī huī aur pighaltī huī shaam
Dagmagātī huī har-gām sambhaltī huī shaam
ḳhvāb-gāhoñ se udhar ḳhvāb meñ chaltī huī shaam
gūñdh kar motiye ke haar ghanī zulfoñ meñ
āriz-o-lab pe shafaq surḳhiyāñ maltī huī shaam
ik jhalak poshish-e-be-zabt se uryānī kī
de ga.ī din ke nasheboñ se phisaltī huī shaam
ek sannāTā rag-o-pai meñ sadā gūñjtā hai
bujh ga.ī jaise lahū meñ koī jaltī huī shaam
vaqt baptisma kare āb-e-sitāra se use
dast-e-duniyā kī darāzī se nikaltī huī shaam