Aftab Iqbal Shamim

hanpti naddi mein dam TuTa hua tha lahr ka

Aftab Iqbal Shamim

Jhelum, Punjab, Pakistan

1933
hāñptī naddī meñ dam TuuTā huā thā lahr kā
vāqi.a hai ye september kī kisī sah-pahr kā
sarsarāhaT reñgte lamhe kī sarkañDoñ meñ thī
thā nasha saarī fazā meñ nāginoñ ke zahr kā
thī sadaf meñ raushnī kī buuñd tharrā.ī huī
jism ke andar kahīñ dhaḌkā lagā thā qahr kā
dil meñ thiiñ aise fasād-āmāda dil kī dhaḌkaneñ
ho bharā balvā.iyoñ se chauk jaise shahr kā
āsmāñ utrā kināroñ ko milāne ke liye
ye bhī phir dekhā ki pal TuuTā huā thā nahr kā
aish-e-be-mī.ād miltī par kahāñ miltī tujhe
merī miTTī kī mahak meñ shā.iba hai dahr kā
Top Urdushayar.com