Aftab Iqbal Shamim

wo itr-e-KHak ab kahan pani ki bas mein

Aftab Iqbal Shamim

Jhelum, Punjab, Pakistan

1933
vo itr-e-ḳhāk ab kahāñ paanī kī baas meñ
ham ne badal liyā hai piyāla gilās meñ
kal raat āsmān mirā mehmāñ rahā
kyā jaane kyā kashish thī mire iltimās meñ
mamnūn huuñ maiñ apnī ġhazal kā ye dekhiye
kyā kaam kar ga.ī mire ġham ke nikās meñ
maiñ qaid-e-haft-rañg se āzād ho gayā
kal shab naqab lagā ke makān-e-havās meñ
phir ye fasād-e-firqa-o-maslak hai kis liye
tū aur maiñ to ek haiñ apnī asaas meñ
Top Urdushayar.com