Aftab Iqbal Shamim

ek chadar-e-bosida main dosh pe rakhta hun

Aftab Iqbal Shamim

Jhelum, Punjab, Pakistan

1933
ik chādar-e-bosīda maiñ dosh pe rakhtā huuñ
aur daulat-e-duniyā ko pā-posh pe rakhtā huuñ
āñkhoñ ko Tikātā huuñ hañgāma-e-duniyā par
aur kaan suḳhan-hā-e-ḳhāmosh pe rakhtā huuñ
kaifiyyāt-e-be-ḳhabrī kyā chiiz hai kyā jānūñ
buniyād hī hone kī jab hosh pe rakhtā huuñ
meñ kaun huuñ azaloñ kī hairāniyāñ kyā boleñ
ik qarz hamesha kā maiñ gosh pe rakhtā huuñ
jo qarz kī mai pī kar tasḳhīr-e-suḳhan kar le
īmāñ usī dillī ke mai-e-nosh pe rakhtā huuñ
Top Urdushayar.com