dikhā.ī jā.egī shahr-e-shab meñ sahar kī tamsīl chal ke dekheñ
sar-e-salīb īstāda hogā ḳhudā-e-injīl chal ke dekheñ
guloñ ne band-e-qabā hai kholā, havā se bū-e-junūñ bhī aa.e
kareñge is mausam-e-vafā meñ ham apnī takmīl chal ke dekheñ
ġhanīm-e-shab ke ḳhilāf ab ke ziyāñ huī ġhaib kī gavāhī
paḌā huā ḳhaak par shikasta par-e-abābīl chal ke dekheñ
chune haiñ vo reza reza manzar, lahū lahū ho ga.ī haiñ āñkheñ
chalo naa! us dukh ke rāste par safar kī tafsīl chal ke dekheñ
fazā meñ uḌtā huā kahīñ se ajab nahīñ aks-e-barg aa.e
ḳhizāñ ke be-rañg āsmāñ se aTī huī jhiil chal ke dekheñ
luḌhak gayā shab kā koh-paimā zamīñ kī hamvāriyoñ kī jānib
kahīñ havā gul na kar chukī ho anā kī qindīl chal ke dekheñ