ye jo Thahrā huā manzar hai badaltā hī nahīñ
vāqi.a parda-e-sā.at se nikaltā hī nahīñ
aag se tez koī chiiz kahāñ se lā.ūñ
mom se narm hai vo aur pighaltā hī nahīñ
ye mirī ḳhams-havāsī kī tamāshā-gāheñ
tañg haiñ un meñ mirā shauq bahaltā hī nahīñ
paikar-e-ḳhāk haiñ aur ḳhaak meñ hai saql bahut
jism kā vazn talab ham se sambhaltā hī nahīñ
ġhāliban vaqt mujhe chhoḌ gayā hai pīchhe
ye jo sikka hai mirī jeb meñ chaltā hī nahīñ
ham pe ġhazleñ bhī namāzoñ kī tarah farz huiiñ
qarz nā-ḳhvāsta aisā hai ki Taltā hī nahīñ