har kisī kā har kisī se rābta TuuTā huā
aañkh se manzar ḳhabar se vāqi.a TuuTā huā
kyuuñ ye ham-sūrat ravāñ haiñ muḳhtalif atrāf meñ
hai kahīñ se qāfile kā silsila TuuTā huā
vaa.e majbūrī ki apnā masḳh chehra dekhiye
sāmne rakkhā gayā hai aa.inā TuuTā huā
ḳhud-ba-ḳhud badle to badle ye zamīñ is ke sivā
kyā bashārat de hamārā hausla TuuTā huā
ḳhvāb ke aage shikast-e-ḳhvāb kā thā sāmnā
ye safar thā marhala-dar-marhala TuuTā huā
kuchh taġhāful bhī ḳhabardārī meñ shāmil kījiye
varna kar Dālegā pāgal vāhima TuuTā huā