Akbar Hyderabadi

kahkashan ke tanazur mein hum kya hamara sitara hai kya

Akbar Hyderabadi

1925

kahkashāñ ke tanāzur meñ ham kyā hamārā sitāra hai kyā

an-ginat āftāboñ aqlīm meñ ik sharāra hai kyā

kaun samjhe zabāñ barg-o-ashjār dasht-o-kohsār

kaun jaane ki is be-karāñ ḳhāmushī meñ ishāra hai kyā

ham mohabbat ko ik mansab-e-āshiqāna samajhte rahe

ye na sochā mohabbat saudāgarī meñ ḳhasāra hai kyā

ye tilism-e-tamāshā hai saarā jahāñ ik tilism-e-nazar

raushnī samundar haiñ āñkheñ magar āshkāra hai kyā

vo hai be-misl us ko usī ke havāle se samjhā karo

us ke idrāk meñ daḳhl-e-tashbīh kyā isti.āra hai kyā

ek miTTī ke ghar meñ jiye umr bhar aur miTTī hue

kul jahāñ yuuñ to 'akbar' hamāre liye par hamārā hai kyā

Top Urdushayar.com