baat ek jaisī hai hajv yā qasīda likh
be-niyāziyāñ us kī ho ke ābdīda likh
jam.a kar ye āvāzeñ merī ḳhud-kalāmī kī
aur un ke imle se dard kā jarīda likh
zehn kī hidāyat hai kātib-e-zamāna ko
aql kī dalīloñ se aaj kā aqīda likh
rañg-o-raushnā.ī kī hadd-e-auj se uupar
ho sake to andāzan qāmat-e-kashīda likh
dekh un ḳhalāoñ meñ nuqta-hā-e-nūr us ke
tū bhī ek ḳhāliq hai sher chīda chīda likh