Aftab Iqbal Shamim

jab chaha KHud ko shad ya nashad kar liya

Aftab Iqbal Shamim

Jhelum, Punjab, Pakistan

1933
jab chāhā ḳhud ko shaad yā nāshād kar liyā
apne liye fareb sā ījād kar liyā
kyā sochnā ki shauq kā anjām kyā huā
jab iḳhtiyār pesha-e-farhād kar liyā
ḳhud se chhupā ke ḳhud ko zamāne ke ḳhauf se
ham ne to apne aap ko barbād kar liyā
thā ishq kā havāla nayā ham ne is liye
mazmūn-e-dil ko phir se tab.a-zād kar liyā
yuuñ bhī panāh-e-sāya kaḌī dhuup meñ milī
āñkheñ jhukā.īñ aur tujhe yaad kar liyā
aayā nayā shu.ūr na.ī uljhanoñ ke saath
samjhe the ham ki zehn ko āzād kar liyā
bas ki imām-e-asr kā farmān thā yahī
muñh ham ne sū-e-qibla-e-azdād kar liyā
Top Urdushayar.com