vo āsmāñ ke daraḳhshinda rāhiyoñ jaisā
añdherī shab meñ sahar kī gavāhiyoñ jaisā
kiran-shu.ūr, dil-e-jahl meñ utārtā jā
ki vaqt aan paḌā hai tabāhiyoñ jaisā
faqīr-e-fardā! tire naam se milā hai hameñ
ye mulk-e-ḳhvāb, tirī bādshāhiyoñ jaisā
niyāz-o-arz-e-suḳhan se kahāñ faro hove
ġhurūr-o-nāz ki hai kaj-kulāhiyoñ jaisā
kahā thā kis ne ki shāḳh-e-nahīf se phūTeñ
gunāh ham se huā be-gunāhiyoñ jaisā
mirī barāt kisī ajnabī kā likhkhā huā
ye harf harf navishta siyāhiyoñ jaisā