misāl-e-sail-e-balā na Thahre havā na Thahre
lagā.e jaa.eñ hazār pahre havā na Thahre
kahīñ kahīñ dhuup chhup-chhupā kar utar hī aa.ī
dabīz bādal hue ikahre havā na Thahre
varaq jab ulTe kitāb-e-mausam dikhā.e kyā kyā
gulāb aariz badan sunahre havā na Thahre
vo saañs umDī ki be-hisoñ ne ġhazab meñ aa kar
girā diye habs ke kaTahre havā na Thahre
kabhī badan ke rueñ rueñ meñ havās ubhrīñ
kabhī kare gosh hosh bahre havā na Thahre
usī kī raftār-e-pā se ubhreñ nuqūsh-e-rañgīñ
kahīñ pe halke kahīñ pe gahre havā na Thahre
sadā-e-har-sū falak ke gumbad meñ gūñjtī hai
havā na Thahre havā na Thahre havā na Thahre