nazar ke sāmne rahnā nazar nahīñ aanā
tire sivā ye kisī ko hunar nahīñ aanā
ye intizār magar iḳhtiyār meñ bhī nahīñ
pata to hai ki use umr bhar nahīñ aanā
ye hijrateñ haiñ zamīn o zamāñ se aage kī
jo jā chukā hai use lauT kar nahīñ aanā
zarā sī ġhaib kī luknat zabān meñ laao
baġhair is ke suḳhan meñ asar nahīñ aanā
har aane vaalā nayā rāsta dikhātā hai
isī liye to hameñ raah par nahīñ aanā
zarā vo dūsrī khiḌkī bhī khol kamre kī
nahīñ to taaza havā ne idhar nahīñ aanā
karūñ masāfateñ nā-āfrīda rāhoñ kī
mujh aisā ba.ad meñ āvārā-sar nahīñ aanā