Aftab Iqbal Shamim

phir bapa shahar mein afraatafri kar jae

Aftab Iqbal Shamim

Jhelum, Punjab, Pakistan

1933
phir bapā shahar meñ afrātafrī kar jaa.e
koī ye sūkhī huī Daar harī kar jaa.e
jab bhī iqrār kī kuchh raushaniyāñ jam.a karūñ
merī tardīd mirī be-basarī kar jaa.e
ma.adan-e-shab se nikāle zar-e-ḳhushbū aa kar
aa.e ye mo.ajiza bād-e-saharī kar jaa.e
kasrateñ aa.eñ nazar zaat kī yaktā.ī meñ
ye tamāshā kabhī āshufta-sarī kar jaa.e
lamha munsif bhī hai mujrim bhī hai majbūrī kā
fā.eda shak kā mujhe de ke barī kar jaa.e
us kā me.aar hī kyā roz badal jaatā hai
chhoḌiye! vo jo agar nā-qadrī kar jaa.e
Top Urdushayar.com