nasleñ jo añdhere ke mahāzoñ pe laḌī haiñ
ab din ke kaTahre meñ ḳhatā-vār khaḌī haiñ
be-nām sī āvāz-e-shaguft aa.ī kahīñ se
kuchh patiyāñ shāyad shajar-e-shab se jhaḌī haiñ
nikleñ to shikastoñ ke añdhere ubal aa.eñ
rahne do jo kirneñ mirī āñkhoñ meñ gaḌī haiñ
aa Duub! ubharnā hai tujhe agle nagar meñ
manzil bhī bulātī hai salībeñ bhī khaḌī haiñ
jab paas kabhī jaa.eñ to paT bheḌ leñ khaT se
kyā laḌkiyāñ sapne ke darīchoñ meñ khaḌī haiñ
kyā raat ke āshob meñ vo ḳhud se laḌā thā
ā.īñe ke chehre pe ḳharāsheñ sī paḌī haiñ
ḳhāmoshiyāñ us sāhil-e-āvāz se aage
pātāl se gahrī haiñ, samundar se baḌī haiñ