Aftab Iqbal Shamim

waise to bahut dhoya gaya ghar ka andhera

Aftab Iqbal Shamim

Jhelum, Punjab, Pakistan

1933
vaise to bahut dhoyā gayā ghar kā añdherā
niklā nahīñ dīvār ke andar kā añdherā
kuchh ruashnī-e-tab.a zarūrī hai vagarna
hāthoñ meñ utar aatā hai ye sar kā añdherā
vo hukm ki hai aql-o-aqīde pe muqaddam
chhuTne hī nahīñ detā muqaddar kā añdherā
kyā kyā na abul-haul tarāshe ga.e us se
jaise ye añdherā bhī ho patthar kā añdherā
detī hai yahī vaqt kī tauret gavāhī
zar kā jo ujālā hai vo hai zar kā añdherā
har aañkh lagī hai ufuq-e-dār kī jānib
sūraj se kiran māñgtā hai Dar kā añdherā
Top Urdushayar.com