rizq kā jab nādāroñ par darvāza band huā
bastī ke goshe goshe se shor buland huā
matla-e-be-anvār se phūTā shoḳh tabassum kirnoñ kā
raat ke ghar meñ sūraj jaisā jab farzand huā
saada be-āmezish jazba-e-pīr faqīr karāmat kā
jis ke ism se māyūsī kā zahr bhī qand huā
avval avval shor uThā siine meñ aam tamannā kā
band fasīloñ ke gumbad meñ jo do-chand huā
dukh ko samt-shanāsā.ī dī ġham ke qurbat-dāroñ ne
dil dhārā dariyā mil kar bahra-mand huā
chaliye apne aap se chimTe rahnā to mauqūf kiyā
jab se roz ke samjhautoñ kā vo pāband huā