Aftab Iqbal Shamim

ek fana ke ghaT utra ek pagal ho gaya

Aftab Iqbal Shamim

Jhelum, Punjab, Pakistan

1933
ik fanā ke ghaaT utrā ek pāgal ho gayā
ya.anī mansūba zamāne kā mukammal ho gayā
jism ke barfāb meñ āñkheñ chamaktī haiñ abhī
kaun kahtā hai ki us kā hausla shal ho gayā
zehn par be-samtiyoñ kī bārisheñ itnī huiiñ
ye ilāqa to ghane rastoñ kā jañgal ho gayā
is kalīd-e-ism-e-nā-ma.alūm se kaise khule
dil kā darvāza ki andar se muqaffal ho gayā
sho.ala-zār-e-gul se guzre to sar-e-āġhāz hī
ik sharar āñkhoñ se utrā ḳhuun meñ hal ho gayā
shahr-e-ā.inda kā dariyā hai giraft-e-reg meñ
bas ki jo honā hai us kā faisla kal ho gayā
mausam-e-tāḳhīr-e-gul aatā hai kis ke naam par
kaun hai jis kā lahū is ḳhaak meñ hal ho gayā
is qadar ḳhvāboñ ko maslā pā-e-āhan-posh ne
shauq kā aa.iin bil-āḳhir mo.attal ho gayā
Top Urdushayar.com